Muqadma

Bismillah Hirrahima Nirrahim
Hilal Wazirganjvi (Budaun)

Hilal Ahmad 'hilal' mere sabhi shagirdo me ek munfarid maqam ke hamil hai. Hilal, Aley Ahmad 'Zauq Muhammadi ke farzand aur Hafiz Abrar Ahmad 'Zahid Muhammadi ke bhatije hai un ke dada marhoom Maulvi Muhammad Baksh Sahab basti ke mashhoor pakbaz shaksiyat the.

Zauq Muhammadi, Zahid Muhammadi ne bhi mujhse sharaf talammuz hasil kiya aur fakhr ki baat ye hai ke mera aur hilal ka gharana ek hi peer-e-tariqat Hazrat Shah Wali Muhammad Qadiri Rashidi se bait hai.

Hilal Wazirganjvi ne fun urooj se makhsoos nukaat samajhne hasil karne me aur adabi qadr-o-qemat janne me achchi salahiyat aur dilchaspi ka suboot diya hai. Allama Akhlaq Dehlvi ki tasneef Fun-e-Shayri wa deegar kutub se istaghada hasil karke bila takheer khatir khah kamyabi hasil kar ke Aasman-e-Adab pe Misl-e-Hilal-e-Eid banker 'hilal wazirganjvi' ne apna ta-arruf karaya hai.

Kam umri yani naujawani me sanjeedgi aur taameri pehlu unke ashaar ki zeenat hai.
Hilal adabi dilchaspi ke sath deeni duniyavi taleem hasil karne me ghair maamool kamyabi ka sehra unke sir hai aur ye sab Allah Taala ka karam hai.

Wo Naat Manqabat Ghazal kehte hai. Urdu Adab ke hawale se Namun-e-Kalam mulahiza farmaye-
Naat-Napahuncha Behr-e-Sanai Nabi ki teh ko koi
Laga ke dekhe hai gote har ik shanawar ne


Manqabat-Ali ka ho gaya to umr bhar Ali ka hu
Ye faisla bhi koi baar baar hota hai
Manqabat-Karbal agar sadaf hai to gauhar Husain hai
Karbal agar dulhan hai to zewar Husain hai

Ghazal-Ye haqiqat hai aaj mehlo ki
Maqbaro me shumar hote hai

Ghazal-Kehne pe tere maa ko bhala kaise chod du
Tu aisa ker k dusra shauhar talash ker

Ghazal-Mai kaise doob sakta hu wafa ke khushk dariya me
Tere dariya-e-ulfat me koi gehraii bhi to ho

Meri dua hai ke 'hilal wazirganjvi' ko Allah Tabarak Taala Khazan-e-Ilm-e-Deen-o-Duniya ki daulat se nawaze aur hamesha shaad-o-aabad rakhe. Aamin.

Ba-qalam khud
Shauque Wazirganjvi
Lyricist-Super Cassette Industries Ltd.T-Series.